kabhi kitabon mein phul rakhna

kabhi kitabon mein phul rakhna
kabhi darakhton pe nam likhna
hamein bhi hai yad aj tak wo
nazar se harf-e-salam likhna

wo chand chehre wo behki baten
sulagte din the mehakti raten
wo chote-chote se kagzon par
muhabbaton k payam likhna

gulab chehron se dil lagana
wo chupke chupke nazar milana
wo arzuon k khwab bunna
wo qissa-e-natamam likhna

mere nagar ki hasin fizao
kahin jo un k nishan pao
to puchna ye kahan base ho
kahan hain un ka qayam likhna

gai ruton mein "jaan" hamara
bas ek hi to ye mashgala tha
kisi k chehre ko subah kahna
kisi ki zulfon ko sham likhna.

Post a Comment

0 Comments