Dar o dewaar pe hijrat k nishaan deakh aayen

Dar o dewaar pe hijrat k nishaan deakh aayen
Aao!hum apne buzurgon k makaan deakh aayen

Apni qismat main likhen hain jo virasat ki tarha
Aao! ik baar wo zakhm e dil o jaan deakh aayen

Aao! bheegi howi aankho se parhain noha e dil
Aao! bikhray howe rishton ka ziyaan deakh aayen

Jis se takra k giray thay kabhi arbaab e khard
Aao! nazdeek se wo sang e giraan deakh aayen

Waqt jatay howe kya likh gaya paishani per
Aao asaftagi e ahad e rawan deakh aayen

toota toota howa dil lay k phirain galiyoun main
kachchi mitti k khilono ki dukaan deakh aayen

Roushni k kaheen aasaar to baqui hongay
Aao pighli howe shamoun ka dhuwaan deakh aayen

Jin darakhtoun k talay raqs e saba hota tha
Sookhay pattoun ka barasna bhi waha deakh aayen

Ab farishtoun k siwa koi na aata hoga
Koun deta hay kharabay main aazan deakh aayen

Muddatoun baad mahajir ki tarha aaye hain
Routh jaye na khandar ;aaon miyaan deakh aayen

Post a Comment

2 Comments

  1. Me b apna gaon chor kar aya hun WO jaga jaha meny apna bachpan guzara larkpan guzara buhat mis krta hun kash k me palt jaon mgr shaed qismat me yehi likha ha ab me apny gaon yaron doston gar walon k liye ek yad or mehman ban k reh gya hun

    ReplyDelete