But'kaday ja kay kisi butt ko bhi sajda kartay

But'kaday ja kay kisi butt ko bhi sajda kartay
Ham kahan soch bhi saktay thay k aysa kartay

Omer bhar kuch bhi tou apnay lye ham ney na kia
Aaj fursat jo mili ham ko tou sacha,KARTAY

Ham tou is khail ka hissa thay azal sey shayed
So tamasha jo bantay tou tamasha kartay

Dil ko taskeen hi mil jati,zara si is sey
Na nibhatay chalo tum koi tou wada kartay

Jornay mein tou yeh poren bhi lahu kar daalein
Kirchiyon ko jo na chootay tou yeh acha kartay

Bhool janay ka irada bhi irada hi raha
Jaan par bun hi tou jati,jo ham aysa kartay

Is amaawas ney kye qatl kayee chaand batool
Ham ujaalay ki kahan is seytamnna kartay

Post a Comment

0 Comments