andheron ka tasalsul mukhtasar honay nahin deta

andheron ka tasalsul mukhtasar honay nahin deta
sahar ka naam leta hay, sahar honay nahin deta

woh shab fitrat hay us ko roshni achhi nahin lagti
kisi gher main ujalon ka guzer honay nahin deta

woh dehshat banTta hay khowf kay manzar bhi deta hay
koi shakh e tamanna baarawer honay nahin deta

woh saray faislay hasb e zaroorat aap kerta hay
kisi ka herf, Harf e mu'taber honay nahin deta

hamesha doosron main faslay taqseem kerta hay
woh logon ko bahem sheer o shaker honay nahin deta

ameer e karawaN rehnay ka itna showq hay us ko
keh danista bhi takmeel e safar honay nahin deta



Post a Comment

0 Comments