Achi lagti hei bhala kyon ye fiza shaam ke baad

Achi lagti hei bhala kyon ye fiza shaam ke baad
Ho gya ishq to ye ham pe khula shaam ke baad

Zindagi bhar ye charaghon ko shikayat hi rahi
Kyon chala karti hei ye tez hawa shaam ke baad

Din mein to ham pe koi sher utarta hi nahin
Ham ne to jo bhi likha jo bhi likha shaam ke baad

Aa ke dekho to sahi kitne nikhar jate hein
Tum kissi roz milo ham se zara shaam ke baad

Rooh bhi shamil-e-aawaz hooa karti hei
Tum kabhi maang ke dekho to dua shaam ke baad

Meri nazron mein wo bazoq nahin ho sakta
be-sabab jo bhi koi ghar mein raha shaam ke baad

Aaj tak aise parinde nahin dekhe ham ne
bhool jaate hon jo ghar ka pata shaam ke baad

Bazme yaran ho ya ho koi mekhana
Bethne mein wahan aata hei maza shaam ke baad

Post a Comment

0 Comments