Neendain meri aankhon se churaata hey wohi shakhs

Neendain meri aankhon se churaata hey wohi shakhs
so jaaon tau khwabon main bhi aataa hey wohi shakhs

jis zakhm ka khaliq bhi koi aur naheen hey
us zakhm pa marham bhi lagata hey wohi shakhs

haathon ki lakeeron main bhi talashey wo mujhe
hathon ki lakeerain bhi mitaata hey wohi shakhs

rakhta hey mujhey qaid bhi ek band galli main
rastey bhi niay mujhko sujhata hey wohi shakhs

har lamha yeh koshish main ussey bhool hi jaaon
pehlay se siwa yaad bhi aataa hey wohi shakhs

ham jin se tallab roshinian kartey rahey hain
aata hey tau shammain bhi bujhata hey wohi shakhs

jo aaiena main apnay liay dhoond ka laaya
us main bhi hamesha nazar aata hey wohi shakhs

us shakhs ki khaatir hoon main dunia se judaa bhi
lekin mera dunia se bhi naataa hey wohi shakhs

jis shakhs kay honay se thi es shehar ki ronaq
suntay hain kay es shehar se jaataa hey wohi shakhs

Post a Comment

0 Comments