Meray Humsaffar



Meray Humsaffar

Meray hUmsaffar tUjhe Kya Khabar
Yeh jO Waqat hAi Kisi dhOop ChaOn Key khAil Sa
Isay Dekhtay, Isay Jheltay, Meri Aankh Gard se Aat Gaii
Meray Khawab Rait mein khO Gaye
Meray Hath Barf Sey hO Gaye

Meray Be-Khabar
Teray Naam Par Wo jO phOol Khiltay Thay hOnton Par
wO jO Deep jAltay Thay Baam Par
Wo Nahi Rahay
Wo Nahi Rahay
K jO Aik Rabt Tha DarmyAn wO Bikhar Gya
Wo Hawa Chalii
Wo Kissi Shaam Aisi Hawa Challi
k jO Barg Thay Sar e Shakh e jAan wO Gira Diye
Wo jo Harf Darj Thay Rait Par Wo Ura Diye
Wo jO Raston Ka YaQeen Thay
wO jO Manzilon Key Ameen Thay
Wo Nishan e Paa Bhi Mitta Diye

Meray hUmsffar hAi wOhi Saffar
Mager Aik mOur Ke Faraq Sey
Teray Haath Sey Meray Haath Tak
Wo jO Haath Bhar Ka Tha Faasla
Kayii mOsamon Mien Badal Gya
Issay Naptay Isay Kat-tay
Mera Sara Waqat Nikal Gya
tOo Meray Safar Ka Sharek hAi
Mein Teray Saffar ka Shareek hOn
Per jO Darmyan Sey Nikal Gya
Is Faaslay Ke shUmar Mein
Isii Be-YaQeen Sey Ghubaar Mein
Issi RahgUzar Key Hisaar Mein
Tera Raasta kOii Or hAi Mera Raasta kOii Or hAi

Post a Comment

2 Comments