Aye Ishq



Aye Ishq


Aye ishq na cher aa aa ke hamain
Hum bhoolay huon ko yaad na ker
Pehlay he bohot nashaad hain hum
Tu aur hamain nashaad na ker
Qismat ka sitam he kam nahin kuch
Yeh taaza sitam eejaad na ker
Yoon zulm na ker bedaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker
sitam = cruelty

Jis din se milay hain donon ka
Sab chain gaya aaraam gaya
Chehron se bahaar-e-subha gayee
Aankhaon se farogh-e-shaam gaya
Haathon se khushi ka jaam chuta
Honton se hansi ka naam gaya
Ghamgee.n na bana nashaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker
farogh = to promote

Raaton ko uth uth rotay hain
Ro ro ker duaayen kartay hain
Aankhon mein tasavvur dil mein khalish
Sar dhuntay hain aahain bhartay hain
Aye ishq yeh kesa rog laga
Jeetay hain na zaalim martay hain
Yeh zulm to aye jallaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker

Yeh rog laga hai jab se hamain
Ranjeeda hoon main beemaar hai vo
Her waqt tapish her waqt khalish
Bekhaab hoon main bedaar hai vo
Jeenay se idher bezaar hoon main
Marnay pe udher taiyyaar hai vo
Aur zabt kahay fariyaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker


bedard zara insaaf to kar.
is um'r main aur maghmoom hay wo
pholoo.n ki tarha nazuk hay abhi,
taroo.n ki tarha masoom hay wo
ye husn_e sitam! ye ranj_e ghazab,
majboor hoon main, mazloom hay wo
mazloom pe yoon bedaad na kar
aay ishq humain barbaad na kar

aay ishq Khudara dekh kahee.n,
wo shokh hazee.n bad-naam na ho
wo mah_e laqa bad-naam na ho,
wo zehra jabee.n bad-naam na ho
namoos ka us k paas rahey
wo pardah nashee.n bad-naam na ho

us parda nashee.n ko yaad na kar
ay ishq humain bad-naam na kar
umeed ki jhooti jannat k,
reh reh k na dikhla khwaab humain
Aainda k farzi ishrat k wadey sey
na kar betaab humain
kehta hay zamana jis ko khsushi,
aati nay nazar kumyaab humain

chor aisi khushi ko yaad na kar
ay ishq humain badbaad na kar


do din main eh'd_e tifli k,
masoom zamane bhool gai
Aankhoo.n sey wo khushiyaa.n mit si gaee.n
lab ko wo tarane bhool gai
Un paak beheshti khwaboo.n k,
dilchasp fasane bhool gai

in khwaboo.n sey yoon azaad na kar
ay ishq humain barbaad na kar

aankhoo.n ko ye kiya aazar howa
har jazb_e nihaa.n per ro dena
Aahang_e tarab per jhuk jana
aawaz_e fughaa.n per ro dena
barbat ki sada per ro dena,
muzrib k bayaa.n per ro dena

ehsaas ko ghum bunyaad na kar
ay ishq humain barbaad na kar

jee chahta hay ik dosrey ko
yoon aath peher hum yaad karain
aankhoo.n main basaaee.n khwaboo.n ko
aur dill main khayal aabad karain
khilwat main bhi ho khiwat ka samaa.n
wehdad ko doi sey shaad karain

ye aarzoe.n eejaad na kar
ay ishq humain bar baad na kar


Duniya ka tamaasha dekh liya
Ghamgee.n si hai betaab si hai
Ummeed yahaan ik vehem si hai
Taskeen yahaan ik khaab si hai
Duniya mein khushi ka naam nahin
Duniya main khushi nayaab si hai
Duniya main khushi ko yaad na ker
Aye ishq hamain barbaad na ker

Post a Comment

0 Comments