Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana


Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana
Aik naar pe jaan ker haar gaya, mashhoor hai us ka afsana




Is naar main aisa roop na tha. jis roop se din ki dhoop dabe
Is shaher main kia kia gouri hai, mahtaab rukhe, gulnaar liye
Kuch baat thi us ki baaton main, kuch bhaid thay us k chatoon main
Wahi bhaid k joot jagate hain, kisi chahne wale k mun main
Usay apna banane ki dhun main, howa aap he aap se be-gaana

Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana


Na chanchal khail jawani k, na pyaar ki ulharr ghaten theen
Bus raah main milna tha, ya fone pe un ki baaten theen
Is ishq pe hum bhi hanste thay, be-hasil sa be-hasil tha?
Aik roz bhaparte saagar main, na kashti thi na saahil tha
Jo baat thi un k jee main thee, jo bhaid tha yakser an-jaana

Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana


Aik roz magar barkha rut main, wo bhaadon thi ya saawan tha?
Deewar pe beech samander k, ye dekhne walon ne dekha
Mastana haath main haath diye, ye aik kagar pe bethe hain
Youn shaam hoi phir raat hoi, jub seelani ghar lout gaye
Kia raat thi wo- jee chahta hai us raat pe likhen afsana

Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana


Haan umr ka saath nibhane k thay ahed-o-pemaan bohat
Wo jin pe bharosa kerne main kuch sood nahi, nuqsan bohat
Wo naar ye keh ker door hoi- 'Majboori sajan majboori'
Ye wehshat se ranjoor howe aur ranjoori si ranjoori hai
Us roz humain maloom howa, is shaqs ka mushkil samajhna

Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana


Go aag si chhaati jalti thee, go aankh se darya behta tha
Her aik se dukh nahi kehta tha, chup rehta tha ghum sehta tha
Na-daan hain wo chherrte hain, is aalam main na-daanon ko
Us shaqs se aik jawab mila, sub apnon ko be-gaanon ko
Kuch aur kahoon to sunta hoon- is baab main kuch mat farmana

Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana


Ab aage ki tehqeeq nahi, go sunte ho hum sunte hain
Us naar ki jo jo baaten theen, us naar k jo jo qisse thay
Aik shaam ko us ko bulwaya kuch samjhaya be-chaare ne
Us raat ye qissa paak kia, kuch keh he lia dukhyare ne
Kia baat hoi, kis tour hoi? Akhbaar se logon ne jaana

Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana


Her baat ki khoj to theek nahi, tum hum ko kahani kehne do
Us naar ka naam maqaam hai kia, is baat per parda rehne do
Hum se bhi tou souda mumkin hai, tum se bhi jafa ho sakti hai
Ye apna bayaan ho sakta hai, ye apni kathha ho sakti hai
Wo naar bhi aakhir pachtai, kis kaam ka aesa pachtaana?

Is basti k aik kooche main Insha naam ka deewana

Post a Comment

1 Comments