Gar ye sanjog hamara hota



Gar ye sanjog hamara hota

Kya zamaane ko gawaara hota



Chaandni raat me hum tum hote

Aur samandar ka kinaara hota



YaaN maiN jaane ka irada karti

WaaN se rukne ka ishaara hota



Sari dunya ko bhula dete hum

Bus woh ik shaks hamaara hota



Zindagi bhar woh taRapta rehta

Jo tirey hijr ka maara hota



Kash tum dair na karte itni

Hum ne jeevan bhi na haara hota



hum k dunya me to barbaad hue

Akhirat hee ko sanwaara hota

Post a Comment

0 Comments