Chehra mera tha, nigahen uski


Chehra mera tha, nigahen uski
khamshi mein bhi woh baten uski

Meray chehray pe ghazal likhti gain
sher kehti hoi aankhen uski

shaokh lamhon ka pata denay lagin
taiz hoti hoi sansen uski

Aesay maosam bhi guzaray ham nay
subhen jab apni thin, shamen uski

Dhiyan mein uskay ye aalam tha kabhi
aankh mahtab ki, yaden uski

Rang jiyenda woh, aay to sahi
phool to phool hen, shakhen uski

Faisla maoj e hawa ne likha
aandhiyan meri, baharen uski

Need is soch say tooti aksar
kis tarah katti hen raaten uski

Door reh kar bhi sada rehti hen
mujh ko thamay howay bahen uski

Post a Comment

0 Comments