Mili kuch yaadein, aur ek nishani mili

Mili kuch yaadein, aur ek nishani mili.......
Kuch shabd, kuch najm, aur ek kahani mili,
Mili kuch yaadein, aur ek nishani mili.

Kuch is tarah se ruka yaadon ka kafila,
Kuch beetey din, aur biti ek jawani mili.

Kuch dhundha jab kaanch k tukdo me maine,
Ek dhundhli tasveer, aur ek diwani mili.

Kuch is tarah jala ye pagal dil mera,
Mili kuch raakh, aur teri aabe-jubani mili.

Ek aahat, ek awaz gunji kaano me mere,
Bus mili ek kahani, wo bhi teri jubani mili.

Mili kuch yaadein, aur ek nishani mili.......

Post a Comment

0 Comments