wohi aahatain dar-o-baam per


wohi aahatain dar-o-baam per,
wohi rat jagon k azaab hein,
wohi adh bujhi meri neend hai,
wohi adh jaly mery khuab hein,


mery saamny ye jo kehkasha'n,
ki hay dhund had-e-nigah tak,
pary is key jaany hein haqeeqatein,
ya haqeeqaton key sarab hein,


kabhi chaha khud ko samitna,
to bikhar k or bhe reh gaya,
hein jo kirchi kirchi pary hoy,
mery saamny mery khuab hein,


ye na pooch keisy basar kiye,
shab-o-roz kitny pehar jiye,
kisy raat din ki tameez thi,
kisy yad itny hisab hein..

Post a Comment

0 Comments