Bikhri bikhri shamon main


Bikhri bikhri shamon main
Sehmi sehmi raton main
Tanha tanha lamhon main
Gum sum gum sum baton main
kuch guzra zamana yaad aya
Aaj gosha e tanhai main
Ik shakhs purana yaad aya
Kaghaz ki tehreeron main
Dhundli C tasveeron main
Ik chehra anjana yaad aya
Wo parhna ussy kitabon main
Aur dhoondna ussy khwabon main
Ussy pany ki is koshish main
Meri neend ka jana yaad aya
Aaj gosha e tanhai main
Ik shakhs purana yaad aya ..

Post a Comment

1 Comments