Apni aankhon k sabhi ashk baha kar sona


Apni aankhon k sabhi ashk baha kar sona,
Tum meri yaad ka har deep bujha kar sona..

Ek sitara bhi mere khayal ka baqi na rahe,
Chandni shab k nishanat mita kar sona..

Dar lagta hai neend hi kahin chheen na le,
Tera har roz mere khuwab mein aakar sona..

Bad mein log gira den to koi baat nhi,
Har taraf pyar ki deewar utha kar sona..

Subha hote hi tere sheher se jana hai mujhe Wasi,
Aaj ki raat zara mujh ko mana kar sona

Post a Comment

0 Comments