wo mj ko likhta tha jan meri


wo mj ko likhta tha jan meri
judaiyo ki udaas rut mai
khafa na hona
mai lot aya to kurbto k haseen mosam se
dil ka angan swar du ga
bahar us mai utar du ga
mai le k au ga sath apny
wafa mai duby gullab mosam
chahto k seemab lamhy
tmhari khatir
mgr.....
mgr wo aya to uzr laya
jawaz laya
wazahto k mahaz laya
mai jin dukho ki tha inteha par
wo pjhr se un ka aagaz laya.

Post a Comment

0 Comments