ik haraf tasli ka


ik haraf tasli ka
ik lafaz muhabbat ka


khud apnay liye us ne likha
to bohat roya

pahlay bhi shikaston pe
 shikast khai thi us ne
lakin wo tery hathon hara
to bohat roya

itna aasan bhi na tha 
hasti se guzar jana
utra jo samundar me
to darya bhi bohat roya

jo shakhas na roya kabhi 
tapti hoi rahoon me
deewar k saye me baitha
to bohat roya

Post a Comment

0 Comments