Wo hamen jis qadar aazamate rahe


Wo hamen jis qadar aazamate rahe
apni hi mushkilon ko badate rahe
wo akele mein bhi jo lagate rahe
ho na ho un ko hum yaad aate rahe
yaad karne par bhi dost aaye na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
aankhen sukhi hui nadiyan ban gain
aur tufan badsatur aate rahe
pyar se un ka inkar bar-haq magar
lab ye q der tak thar-tharate rahe
thin to kamanen hathon mein agyar ke
tir magar apanon ke janib se aate rahe
kar liya sab ne hum se kinara magar
ek naseh garib aate jate rahe
maikade se nikal kar janab-e-’khumar’
qaba-o-dair mein khak udate rahe

Post a Comment

0 Comments