ek juu-e-dard


ek juu-e-dard dil se jigar tak ravaa.N hai aaj
pighalaa huaa rago.n me.n ik aatish-fishaa.N hai aaj

lab sii diye hai.n taa na shikaayat kare ko_ii
lekin har ek zaKhm ke muu.Nh me.n zabaa.N hai aaj

taariikiyo.n ne gher liyaa hai hayaat ko
lekin kisii kaa ruu-e-hasii.n darmiyaa.N hai aaj

jiine kaa vaqt hai yahii marane kaa vaqt hai
dil apanii zindagii se bahut shaadamaa.N hai aaj

ho jaataa huu.N shahiid har ahal-e-vafaa ke saath
har daastaan-e-shauq merii daastaa.N hai aaj

Post a Comment

0 Comments