sanam tarash


sanam tarash magar aadab-e-kafiri bhi samajh.
har aik sang-e-sar-e-raah ko khuda na samajh.


men tujh ko maang raha hon Qabool kar na kar,
ye baat tery mery he issy dua na samajh.


palat aaey ga wo aik din gai rutoN ki terha,
jo tujh se rooth gaya he ussy juda na samajh.


raah-e-wafa main koi aakhri muQaam nahi,
shikast-e-dil ko mohabat ki inteha na samajh.


har aik sahib-e-manzil ko ba-muraad na jaan,
har aik raah nasheeN ko shikusta paa na samajh

Post a Comment

0 Comments