Wo Jo Mahev Thay Sar-e-Aaina Pas-e-Aaina Bhi To Dekhtey


Wo Jo Mahev Thay Sar-e-Aaina Pas-e-Aaina Bhi To Dekhtey
Kabhi Roshni Mein Wo Tairgi Ko Chupa Hua Bhi To Dekhtey.

To Ye Jaan Letay K Sach Hai Kya, Ye Jo Fard-e-Jurm Hai Sab Ghalat,
Wo Jo Parh K Mat’n He Reh Gaye, Kabhi Hashiya Bhi To Dekhtey.

Sar-e-Aabjo Raha Tashna-Lub, To Ye Zabt-e-Gham Ki Hai Inteha,
Meray Haal Par Thay Jo Nukta-Chee’n, Mera Hosla Bhi To Dekhtey.

Wo Utar Gaye Thay Jo Paar Khud, Mujhy Beech Behar Mein Chhor Kar,
Tha Jo Un Mein Itna He Hosla, Mujhy Doobta Bhi To Dekhtey.

Jinhay Mujhse Hai Ye Gilaa K Main, Raha Be-Nayaz-e-Khuloos-o-Rabt,
Meray Gird Rasm-o-Riwaaj Ka, Kabhi Daayera Bhi To Dekhtey.

Wo Meri Hansi Sey Hain Khush-Gumaan, K Nishat-e-Zeest Hai Mudd’aa,
Meray Ashk-e-Gham Ka Ruka Hua, Kabhi Qaafila Bhi To Dekhtey.

Hoon Saza K Baad Bhi Mohtaram, To Hain Hairaton Mein Ye Log Kyun,
Zara Zehar-e-Haq Ka Meri Tarah, Kabhi Zaaiqa Bhi To Dekhtey.

Wo Bohat He Sehal Samajh Rahy Thay, Talism-e-Zaat Ka Torrna,
Jo Ana Se Karta Raha Hoon Main, Wo Mukaalma Bhi To Dekhte

Post a Comment

0 Comments