ye jo bikhra bikhra sa shaks hai

ye jo bikhra bikhra sa shaks hai
Wo gumaan gumaan sa Qayaas sa
kbhi door sa … kbhi paas sa
kbhi chandni main chupa hua
kbhi khushbuon main basa hua
kbhi sirf uski shabahatein
kbhi sirf uski hikayatein
kbhi sirf milne k silsile
kbhi sirf us se hain faasle
kbhi door chalti hawaon main
kbhi minha barasti ghataon main
kbhi bad-gumaan … kbhi meherbaan
kbhi dhoop hai … kbhi sayebaan
kbhi band dil ki kitaab main
kbhi lab kushan wo khwab main
kbhi yun k jaise sawal ho
kbhi yun k jaise jawab ho
kbhi dekhne k hain silsile
kbhi sochne k hain marhalay
kbhi sirf rang-e-bahaar sa
kbhi sirf ek ghubaar sa
kbhi dastaras k qareeb qareeb
kbhi door … paas … kahin nahi
ye jo ukhra ukhra sa shaks hai
ye jo bikhra bikhra sa shaks hai

Post a Comment

0 Comments