subh ta shaam sochta huun main

subh ta shaam sochta huun main
sau tere naam sochta huun main
ye jo ek taza aag bharkii hai
is kaa anjaam sochta huun main
saamne hai qalam bhi kaghaz bhi
aur paigham sochta huun main
tujh se is dil kaa jo taalluq hai
us kaa kuch naam sochta huun main
aik shaam-e-firaaq Dhal bhii gayii
phir bhii har shaam sochta huun main
kyaa sabab hai Gham-e-zamaana kaa!
laa zara jaam sochta huun main
ab koi fikr hi nahi Baqi
bas tera naam sochta huun main

Post a Comment

0 Comments