Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !

Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujko !

Baat karnay mein jo mushkil ho tumhay mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujko !

Vaada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujko !

Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujko

Post a Comment

0 Comments