hai dua yaad magar haraf e dua yaad nahi

hai dua yaad magar haraf e dua yaad nahi
mere naghmaat ko andaz e nawa yaad nahi

hum ne jin ke liye rahoon main bichaaya tha lahoo
hum se kehte hain wohi ehd e wafa yaad nahi

zundagi jabr e musalsal ki tarah kaati hai
jane kis juram paye hai saza yaad nahi

main ne palkoon se dar e yaar pe dastak di hai
main woh saayal hoon jise koi sada yaad nahi

kaise bhar aayi sar e shaam kisi ki aankhain
kaise tharaayi charaghoon ki zaya yaad nahi

sirf dhundlaate sitare ki chamak deekhi hai
kab hua, kaun hua mujh se juda yaad nahi

aao ik sajada karain aalam e madhoshi main
loog kehte hain ke saaghir ko khuda yaad nahi

Post a Comment

0 Comments