Wahshatain Bharthe Gayen Hijr Kay Aazar Kay Sath

Wahshatain Bharthe Gayen Hijr Kay Aazar Kay Sath
Ab To Hum Baat Bhi Kartay Nahi Gum Khuwaar Kay Sath

Hum Nay Aik Umer Basar Ki Hay Gum e YAR Kay Sath
Meer Do Din Na Jeeyay Hijr Kay Aazar Kay Sath

Ab To Hum Ghar Say Nikaltay Hain To Rakh Daitay Hain
Taaq Par Izat e Saadat Bhi Dastaar Kay Sath

Is Qadar Khauf Hay Ab Shehr Ki Galiyon May Keh Log
Chaap Suntay Hain To Lag Jatay Hain Deewar Kay Sath

Aik To Khuwab Liyay Phirtay Ho Galiyon Galiyon
Is Pay Tekraar Bhi Kartay Ho Khareedar Kay Sath

Shehr Ka Shehr Hi Nasih Ho To Kia Kijiyay Ga
Warna Hum Rind To Birh Jatay Hain Do Char Kay Sath

Hum Ko Is Shehr May Taameer Ka Sauda Hay Jahan
Log Maymaar Ko Hun Daitay Hain Deewar Kay Sath

Jo Sharaf Hum Ko Mila Koocha e Janan Say FARAZ
Soo e Maqtal Bhi Gayay Hain Issi Pandaar Kay Sath..

Post a Comment

0 Comments