sahefoun main muqaddar k likha is zaat ka dukh hay
mujhe duniya main jo dukh hay inhe safhaat ka dukh hay
mujhe milney se pehlay kho gaya to ye mujhe dukh hay
hazaroun maat jhaili hain , magar is maat ka dukh hay
kabhi poocha jo us ne dukh mera to keh diya main ne
azl se piyasi mitti hoon mujhe barsaat ka dukh hay
ye din to jaisey bhi kat jaye ga dhal jaye ga aakhir
mujhe to raat ka dar hay mujhe to raat ka dukh hay
wo jis ki chah main barbaad main ne kar liya khud ko
faqat itna kaha us ne tere halaat ka dukh hay
mere jazboun ki ungli chore kar dil pe zakham rakha
mujhe dil ki nahi parwah mujhe jazbaat ka dukh hay
tere aankhain kahain kuch bhi mujhe us ki nahi parwah
tere lehjay ne kehdi jo mujhe us baat ka dukh hay

0 Comments