Tujhe kya khabar mere humsafar

Tujhe kya khabar mere humsafar
mera marhala koi aur hai
mujhe manzilon se gurez hai
mera rasta koi aur hai


Meri chahton ko na puchiye
jo mila talab ke siva mila
meri dastan hi ajeeb hai
mera masghalah koi aur hai


Woh raheem hai woh kareem hai
woh nahin ke zulm sada sahe
hai yakeen zamane ko dekh kar
ki yahan khuda koi aur hai


Main chala kahan se khabar nahin
is safar mein hai meri zindagi
meri ibteda kahin aur hai
meri intteha koi aur hai


Mera naam darshan-e-khasta tan
mere dil mein hai koi zau figan
main hoon gum kisi aur ki talash mein
mujhe dhoodta koi aur hai....!!!!

Post a Comment

2 Comments

  1. kuch manzilien jo bichad gyi woh rastey jo badal gye unhi raston ki talsssh mai merey vastey kuch bacha nhi iss safar ko mai poora kyu karu merey sath jo tu chala nhi mai jo aashiyaney ki chah mai chali thi terey sath jo woh to rastey the bas khwaab k jaha manzilon ka pta nhi

    ReplyDelete
  2. A great poetry..... A great composition sung by Ustad Ghulam Ali Khan sb (Great Ustaad G)...Please listen.
    Allah Pak un ko hmeasha slaamat rakhy..(ameen)

    ReplyDelete