Soz-e-Ghum de k mujhay uss ne yeh irshaad kiya

Soz-e-Ghum de k mujhay uss ne yeh irshaad kiya
Ja tujhay kash-ma-kash-e-dahar se aazaad kiya

Woh karayn bhi toh kin alfaaz mayn tera shikava
Jin ko teri nigaah-e-lutf ne barbaad kiya

Dil ki choton ne kabhie chain se rehnay na diya
Jab chali sard hava mayn ne tujhay yaad kiya

Aysay mayn mayn teray taj-takalluf pe nisaar
Phir toh farmaaye vafaa aap ne irshaad kiyaa

Iss ka ronaa nahi kyun tum ne kiya dil barbaad
Iss ka Ghum hai k bohut dayr mayn barbaad kiya

Etna masoom hun fitrat se, kali jab chatki
Jhuk k mayn ne kaha, mujh se kuch irshaad kiya

Meri har saans hai iss baat ki shaahid-e-maut
Mayn ne har lutf k mauqay pe tujhay yaad kiya

Mujhko toh hosh nahi tum ko Khabar ho shayad
Log kehtay hayn k tum ne mujhay barbaad kiya

Woh tujhay yaad karay jis ne bhulaya ho kabhie
Hum ne tujh ko na bhulaya na kabhie yaad kiya

Kuch nahi iss k sivaa 'Josh' hariifo.n ka kalaam
Wasl ne shaad kiyaa hijr ne naashaad kiyaa....!!!!



Post a Comment

0 Comments