Paida rah-e-khaloos main dushwarian nah kar

Paida rah-e-khaloos main dushwarian nah kar
chahat nahi tu hum se adakarian nah kar

lafzon se khalne ki zaroorat nahi tujhe
sada dilon ke saath yeh fan karian nah kar

jin se nahi lagao unain munh bhi mat laga
be waja har dokan se kharidarian nah kar

tu shakh-e-gul hai koi amar bail tu nahi
wabasta har shajar se wafa darian nah kar

iss bheer se parey bhi hai abad khalq-e-shair
appne hi doston ki taraf darian nah kar

iss shugal-e-be jawaz se kya faida tujhe
dil mat dukha kisi ka dil azarian nah kar

taza hai dil pe dagh agar pehli choat ka
phir dosri shikast ki teyarian nah kar

Post a Comment

0 Comments