koee lamha bhee kabhee laut kar nahee aaya

koee lamha bhee kabhee laut kar nahee aaya
woh shakhs aisa gaya phir nazar nahee aaya

wafaa ke dasht mein raasta nahee mila koee
siwaye gard-e-safar humsafar nahee aaya

kisee chiraag ne poochee nahee khabar meri
koee bhee phool mere naam per nahee aaya

palat kar aane lagay shaam ke parindey bhee
hamaaraa subha ka bhoola magar nahee aaya

hamein yakeen hai Amjad woh waadaa khilaaf
yah umar kaise kategee agar nahee aayaa

Post a Comment

0 Comments