Maqrooz k bigrey howe halaat ki manind

Maqrooz k bigrey howe halaat ki manind
Majboor k hountoon pe sawalaat ki manind

Dil ka teri chahat main ajab haal howa hay
Selaab se barbaad makanaat ki manind

Main un main bhataktey howe jugnoo ki tarha hoon
Us shaks ki aankhain hain kisi raat ki manind

Dil roz sajata hoon main dulhan ki tarha se
Ghum roz chalay aatay hain baraat ki manind

Ab ye bhi nahi yaad k kya naam tha uska
Jis shaks ko maanga tha manajaat ki manind

Kis darja muqaddas hay tere qurb ki khawahish
Masoom se bachey k kheyalaat ki manind

Us shaks se milna mera mumkin he nahi hay
Main pyaas ka sehra hoon wo barsaat ki manind.

Post a Comment

0 Comments