Hasil-e-Zeest jahaan soz-e-nihaan hota hay

Hasil-e-Zeest jahaan soz-e-nihaan hota hay
Ashak ka aankh mein aana bi Ghiraan hota hay

Dil tarap jata hay itni toh khabar hay mujh ko
Haan yeh maluom nehi dard kahaan hota hay ?

Ajh ess bazmm mein jitna bi ho mumkin hass loh
Kal ko maluom nehi kon kahan hota hay . . . ?

Woh tabasum k jo kar deita hay dil ko Gulzar
Baad ko bais-e-sada Aah-o-figaan hota hay

Yun toh aati hain baharain bi chaman mein lekin
Aur he kuch tery aaney ka saaman hota hay . .

Sirf hota hay rag-e-jaan ka lahoo barsoon tak
Nakhl-e-Umeed ka tab jaa k jawan hota hay

Bazam-e-jaana mein ajab keifb kei-e-beikhudhi hay Monis
Farsh pe Arsh-e-MUALLA ka Gumaan hota hay

Post a Comment

0 Comments