Zaalim thaa woh aur zulm kii aadat bhii bahut thii

 Zaalim thaa woh aur zulm kii aadat bhii bahut thii
majaboor thay ham us say muhabbat bhi bahut thi

Waaqif hiiiiii na tha ramz-e-muhabbat sy wo warna
dil kay liye thorii sii inaayat bhii bahut thii

Youn hi nahiin mashhoor-e-zamanaa mera qatil
Us shaKhs ko is fan mein maharat bhi bahut thii

Kya daur-e-Gazal tha ke lahu dil mein bahut tha
aur dil ko lahuu garaanay kii fursat bhii bahut thii

Har shaam sunaatay thay hasiinon ko Gazal ham
jab maal bahut tha to sakhaawat bhi bahut thii

Ais anjaamay muhabbat par pasheman bhi bahut hain
Kya kijiye kam_baKht ki shoharat bhii bahut thii

Post a Comment

0 Comments