Labon Pe Phool Khilte Hai Kisike Naam Se Pehle

Labon Pe Phool Khilte Hai Kisike Naam Se Pehle,
Dilon Ke Deep Jalte Hai Charag-E-Shaam Se Pehle,

Kabhi Manzar Badalne Par Bhi Qissa Chal Nahi Pata,
Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaan Se Pehle,

Yehi Taare Tumhari Aankhon Ke Chilman Mein Rehte The,
Yehi Suraj Nikalta Tha Tumhare Baam Se Pehle,

Dilon Ki Jagmagati Bastiyan Taraaj Karte Hai,
Yehi Jo Log Lagte Hai Nihayat Aamse Pehle,

Hui Hai Shaam Jungle Mein Parinde Laute Honge,
Ab Unko Kis Tarah Roke Nawah-E-Daam Se Pehle,

Ye Saare Rang Murda The Tumhari Shakal Banne Tak,
Ye Saare Harf Mohmal The Tumhare Naam Se Pehle,

Hua Hai Wo Agar Munsif To Amjad Ahtiyatan Hum,
Saza Tasleem Karte Hai Kaise Ilzaam Se Pehle...



Post a Comment

0 Comments