Hum ko to muskranay ki Aadat si hai

Hum ko to muskranay ki Aadat si hai...
Ansoon ko Chupanay ki Aadat si hai...
Duwa...na hi Dawa Kaam kerti Hai hum per..
Ab to Zakhm Khanay ki Aadat si Hai..
Sab kehtay Hain Gham se koi Rishta Nahin Hamara...
kia Karain Mehfil main Ganay ki Aadat si hai..
Raasta na hi Manzil Dikhaye daiti hai...
tareekiyon main chalnay ki Aadat si Hai...
Zor Nahin Chalta kyunki bay bas hain hum..
is baybasi main dil ko Rulanay ki Aadat se Hai...
Raat guzerti hai Hamari Tanhaye ke saath...
Tanhaye ko sang jaganay ki Aadat si hai...
Mer jaon to meray Moon per Kafan Daalay rakhna..
Zamanay se Moon Chupanay ki Aadat si hai...
Aaj Hain to kal Woh Log Nahin Rehtay....
Logoon ko Yahan aanay jaanay ki Aadat si hai

Post a Comment

0 Comments