Apnay Ehsaas Se Chu Kar Mujhey Sandal Kar Do

Apnay Ehsaas Se Chu Kar Mujhey Sandal Kar Do
Mein K Sadiyo`n Se Adhoora Hon, Mukammal Kar Do

Na Tumhein Hosh Rahay Or Na Mujhey Hosh Rahay
Is Qadar Toot K Chaho, Mujhey Pagal Kar Do

Tum Hatheli Ko Meray Pyar Ki Mehandi Se Rango
Apni Aankho`n Mein Meray Naam Ka Kajal Kar Do

Is K Saaye Mein Meray Khuwab Dhak Utheingey
Meray Chehray Pe Chamakta Huwa Aanchal Kar Do

Dhoop Hi Dhoop Mein Hon Toot K Barso Mujh Par
Is Qadar Barso, Meri Rooh Mein Jal Thal Kar Do

Jaisay Sehrao`n Mein Har Shaam Hawa Chalti Hai
Is Tarah Mujh Mein Chalo Or Mujhey Thal Kar Do

Tum Chupa Lo Mera Dil Oat Mein Apnay Dil Ki
Or Mujhey Meri Nigaho`n Se Bhi Aujhal Kar Do

Mas`ala Hon To Nigahein Na Churao Mujh Se

Apni Chahat Se, Tawajja Se Mujhey Hal Kar Do

Apnay Gham Se Kaho Har Waqt Meray Sath Rahay
Aik Ehsaan Karo Us Ko Musalsal Kar Do

Mujh Pe Chah Jao Kisi Aagh Ki Soorat Jaan`an
Or Meri Zaat Ko Sookha Hua Jungle Kar Do

Post a Comment

1 Comments