Dekha tujh ko to pyaar ki chaahat si ho gai

Dekha tujh ko to pyaar ki chaahat si ho gai
ham ko har lamha khush rehne ki aadat si ho gai

pukaara hai tujh ko har modh par zindagi ke
tujh ko paane ki aarzoo mein shiddat si ho gai

teri aaankhoon mein vo nasha hai ke kya kahoon
bin piye behakkk jaane ki aadat si ho gai

rehte the har lamha udaas, har pal bechain ham
aane se tere hamain musarrat si ho gai

teri mann-mohni si soorat, khuda ka karishma hai
na dekh paaon gar jisse to qayaamat si ho gai

tumhaare pekar ko dekhta hoon chaudvein raatoon mein
haseen rukh-e-roshan chaand ki soorat si ho gai

soocha na tha kabhi ishq bhi karoon ga EhsaaSS
abh mohabbat se mujhe bardi mohabbat si ho gai

Post a Comment

0 Comments