Rung e Ishq kuch aur nikharta hai hijar mein

Rung e Ishq kuch aur nikharta hai hijar mein
Har sung, paris numa banta hai hijr mein

Youn tu har koi hai dav-e- daar- e -mohabbat
Yeah raaz magar aisa jo khulta hai hijr mein

Gar pahaar sa hosla bhee rakhata ho koi
Bun ke khusbo ik din bikharta hai hijr mein

Hum ne kabhi lout kay atay nahi daikha..
Talash e yaar ko jo nikal parta hai hijr mein

Har shub ankhoon mein guzar jati hai tanha
Har khawb chikna choor hota hai hijr mein

Woh har aik se hans ke baat karta hai..
Par chup ke duniya se roota hai hijr mein

Ajab haal insaan ka mouj e firaq karti hai
Doob sakta hai na pa'ar utarta hai hijr mein

Chatanoon ka seena cheer daita hai to kabhi
Kachay gharay pay chanab ute'rta hai hijr mein

Post a Comment

0 Comments