Wafa mai ab yeh hunar ikhtiyaar karna hay.


Wafa mai ab yeh hunar ikhtiyaar karna hay.
Wo such kahey na kahey aitbaar karna hay.

Ye tuj ko jagte rehne ka shauq kab say hua.
Mujhey toh khair teraa intezaar karnaa hay.

Hawa ki zad mai jalane hain anso-on k chiragh.
Kabhi yeh jashn sar-e-raah guzaar karna hay.

Wo muskura k nayee waswason mai daal gia.
Khayaal tha keh ussay sharm-saar karna hay.

Misal-e-shakh-e-barhna khizan ki rut mai kabi.
Khud apnay jism ko bai barg-o-baar karna hay.

Tairay firaaq main din kis tarhan kattey apnay.
Ke shugal-e-shab to sitaarey shumar karna hay.

Chaloo ye askh hi moti samajh kar baich ayeen.
Kissi tarhaan toh hummein roozgaar karnaa hay.

Kabhi to dil mai chupay zakham bi numayan hon.
Qaba samajh kay badan taaar taaar karnaa hay.

Khuda khabar yeh koi zidd keh shauq hai "Dil".
Khud apni jaan kay dushman say pyaar karna hay.

Post a Comment

0 Comments