kissi jhooti waffaa sey dil ko behlaanaa nahi ata


kissi jhooti waffaa sey dil ko behlaanaa nahi aataa.
mujhe ghar kaagazi phooloon se mehkana nahi aata.

main darya hon magr behta hon main kuhsar ki janib.
mujhe duniya ki passti sey uttar jaanaa nahi aataa.

zar-o-maal-o-jawahir le bhi tukraa bhi saktaa hoon.
koyi dil pesh kartaa hay tuo tukraanaa nahi aataa.

parinda jaaneb-e-daana hamesha urrh ke aata hay.
parindey ki taraf urrh kar kabhi daanaa nahi aataa.

agr sehra may hain tu aap khod aye hain sehra main.
kissi key ghar tu chal kar koyi weeraanaa nahi aata.

howaa hay jo sadda uss ko nasiboo ka likha samjha.
adeem apney kiye pe mujh ko pachtaana nahi aata.

Post a Comment

2 Comments