Suno! aay chand si Larki

Suno! aay chand si Larki

Abhi tum titliyaan pakro

Ya phir Guriyon se khelo Tum,

Ya phir masoom si Aankhon se,
Dheron khuwab dekho Tum,

Faraz-o-Faiz-o-Mohsin ki kitabein mat abhi parhna,

Ye sub Lafzon k sahir hain,
Tumhe uljha k rakh dein ge,

Tumhe Maloom hi kab hai,
Mohabbat k Libady me, Hawas or Hirs hoti hai,

Ye insano ki Dunya hai,
Magar in se kahein barh kr,

yahan wehshi Darinday hain,
Wo wehshi jin ki Aankhon me machalty pyaar k peechy,
Hawas or Hirs hoti hai,

abhi Khushboo ki Pari ho Tum,
abhi kanton se mat khelo,
Abhi apni hateli per kisi ka naam mat Likho,
Abhi apni kitabon me phool mat rkho,

Abhi shairon mein mat uljho,
abhi to umar baqi hai,

Abhi khud ko sambhalo Tum,
Abhi mat gunghunao Tum,

Abhi se Ishq mat socho, abhi sab bhool jao Tum !!!!

Post a Comment

1 Comments