~*~Bari Dair Takk~*~

Mujhey arzoo.e.sehar rahi yunhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak


Hai bohat azaab aur akely hum,shab.e.gham bhi meri taweel tar
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak


Yahan her taraf hai ajeb samaan,sabhi khud pasand,sabhi khud numa
Dil .e. be-qaraaar ko mila nahin koi chara gar bari dair tak


Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey meray Humsafar
Mujhay qatra qatra pila zehar, jo karey asar bari dair tak


Na sakoon.e.jaan na shreek.e.gham mila is jahan mein chaar su
Teri yaad thi meray saath jo rahi darr ba darr bari dair tak


Yahan shehar.e.dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si reh guzar
Rahey teray baad dhuwaan dhuwaan meray baam.o.dar bari dair tak


Post a Comment

2 Comments