Raat k khwaab sunain kis ko

Raat k khwaab sunain kis ko, raat k khwaab suhaane hain
Dhundhle dhunldhe chehrey they, per sab jaane pehchane thay

Ziddi, wehshi, alhar, chanchal, methey log, rasiley log
hont un k ghazloo.n k misrey, aankhoo.n main afsaane thay

Wehshat ka unwaan humaari, in main sey jo naam bani
Dekhain gay tu log kahain gai, Insha Jee dewane thay

Ye larki tu in galiyoo.n main roz hi ghoma karti thi
Is sey in ko milna tha tu is k laakh bahane thay

Hum ko saari raat jagagya, jaltey bujhtey taaroo.n nay
Hum kyu un k dar per utrey, kitne aur thikaane thay


Post a Comment

0 Comments