Tum say kia khyhay jana! is kardar jhamaylay may


Zindgi kay maylay may, khuhasio kay raylay may
Tum say kia khyhay jana! is kardar jhamaylay may
Wakat ki rawani hay, bhakat ki garani hay
Shakat bay zamini hay, shakat la makani hay
Hijar kay samandar may
Tkhat or takhatay hi aik hi kahani hay
Tum ko jo sunani hay
Baat go zara si hay
Baat umar bher ki hay
(Umar bher ki batay doo ghario may hoti hay!
Dard kay samandar may
An ginnaat jaziray hay, bay shumar motti hay)
Ankee kay darichay may tum nay jo sajaya tha
Baat us diay ki hay
Baat us gilay ki hay
Jo lahoo ki khalwat may chore ban kay ata hay
Lafaz ki fasiloo per toot toot jata hay
Zindgi say lambi hay, baat rutjagay ki hay
Rastay may kaysay hoo
Baat takhliay ki hay
Takhliay ki baatoo may guftagoo azafii hay
Payar karnay waloo ko ik nigha kafii hay
Ho sakay to sun jaoo aik din akaylay may
Tum say kia kayhay jana! is kadar jhamaylay may

Post a Comment

0 Comments