Dard Shairy


Hamesha Muskura Ke Aansooun Ko Chupaya
Gham Ko Chupane Ka Yahi Raasta Nazar Aaya

Kis Kis Ko Batate Behte Ashkon Ka Sabab
Ke Derd-E-Dil, Dil Mein Kis Ne Jagaya

Mehfilon Mein Kahin Bhi Maza Na Raha
Rakha Dil Pay Patther To Khud Ko Sajaya

Baat Be Baat Apni Aahen Daba Kar
Yaaron Ke Darmiyan Kis Qadar Muskuraya

Na Thi Chah Kabhi Mujhe Man-Kashi Ki
Jaam-E-Wafa Kisi Be Wafa Ne Pilaya

Kya Muqaddar Say Shikwa Kerte Rahein
Jo Qismat Mein Tha Wohi Kuch To Paaya

Yeh Kis Mod Pe Aagaee Hain Ummeedein
Ke Saaya-E-Manzil Nazar Mein Na Aaya

Apnoon Ne Palat Ke Dekha Tak Nahin
Ghairon Ne Aakar Gale Se Lagaaya

Acha Hua Ke Raaz Khul Hi Gaya
Dil-E-Nadaan Pe Khanjar Kis Ne Chalaya

Post a Comment

0 Comments