Tumhara khat mila jana

Tumhara khat mila jana

woh jis mein tumne pucha hai.

k ab halaat kaisay hain?

mere din rat kaisay hain?

mehrbani tumhari hai !

k tum ne is tarah muj se

mere halaat poche hain

mere din raat poche hain

tumhe sub kuch bata doon ge

mujhe itna bata do k...

kabhi saagar kinare per

kisi machli ko dekha hai?

k jis ko lehrain pani ki

kinare tak to lati hain

magar phir chor jati hain

mere halaat aisay hain,

mere din raat aisay hain.

Post a Comment

0 Comments