Khushbuon ka dais


Khushbuon ka dais
wo pariyoon ka dais
wo khushyon ka dais
najanay kahan kho gya hai

Wo chooti chooti si mason shrartain
choti si lerai
jaldi sy sullah
thori si cheez b mil bant k kha laina

Apni nae jeometri sb ko dikhana
k abhi class main kisi k pass nhi thi
wo hamary abu la'ay hain
lehjay main bara fakher samo kr sab say kehna

chand raat ko ammi say hatheli pr mehandi lga kr jaldi soo jana
subha apni hatheli sb ko dikhana k kis ki hatheli pr rang zyada aaya hai

Roz jb school main jaty waqt bahana krna, ''k pait main dard hai''

sehan main I chiryon ko dana dalna aur phir soochna
k kahan chali jati hain ye

barish aay to khush hona
geet gana
jis garhay main pani jamma ho
wahan paon chap chap krna aur hansana
hansaty hi rehna

aur phir
kisi samay aisay hi ap k hansaty rehnay ki aadat ko kisi ka took daina…..
K
''Tm ab bari ho gi ho ''
zara si zimay dari nhi hai tm main
bachi nhi ho tm!

Tb hamain pata chala k bachpan to beet gya hai aur sari khubsorti apny sath ly gya hai

mjy zimaydari ki chadar dy kr aany wali hr salgira ab ye btany, smjhany aati hai k jaisi ho
us say bari ho jao
khud hi khud smjti jao lakin dil k goshay main chupi wo nan'ni si shareer larki apni sony jagny wali gurya ka hath thamy ab tk wesy hi khari hai
aur jesy hi main tanha hoti hon
muj sy kehti hai
”ao na! gurya ki shadi karain”
Aur meri salgira pr cake kat'ty samy jb wo shareer larki khob shor krti hai ,
talyan bjati hai aur chupky sy muj ko kehti haik tm itni udas kyun ho?
Us wqt mera dil bohat dukhi hota hai
.
.
.
Apny bary honay sy…..!!!!!!



Post a Comment

2 Comments