Dard Shairy


Jalate hain hum apne dil ko diye ki tarha
Teri Zindagi mein khushiyon ki roshni laane ke liye
Seh jaate hain har chobhan ko apne pairon tale
Teri Rahon main phool bhichane ke liye..
`
Yun door rehkar duriyon ko badhaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahin karte,
Har waqt bas jise tumhara khiyaal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadhpaya nahin karte..
`
Yaqeen har rishte ki bunyaad hota hai ,
Toot jaaye agar to jodhna mushkil hota hai ,
Kehna aasan hai humein yaqeen nahin hai tumpe,
Lekin dard is cheez ka bay-panah hota hai ,
`
Aansu ko bohot samjhaya tanhai mein aaya karo,
Mehfil mein hamara mazaaq na odaya karo,
Ispar aansu tadap kar bola,
Bhari mehfil mein aapka dil akela na rahe,
Itna bas usse samjhaya karo..
`
Gham mein hansne walonko kabhi rolaya nahin jata,
Lehron se pani ko kabhi hataya nahin jata,
Hone wale ho jaate hain khud he dil se apne ,
Kisiko kehkar apna banaya nhin jata……,

Post a Comment

1 Comments