Aaj phir main roi hon



Main akeli thi, tanha thi ..
bezari aur laachari main ,
jabh nikli bahir ghar se main.
thandi hawa ne mujhe galay lagaya ,
merey chehrey se balon ko hataya.

phir garjay badal meri ahoon pe ,
aur ro dia asman bebassi pe meri.
paani ki girti bondon ne ,
merey aanson ko saf kia.

phir main akeli kabh thi..
kuch sokhey pattey paas the ,
jo merey gird bikhrey the.
woh bhi to kitney the badnaseeb !!
bichar gaye the pae'roon se,
aur haath charey the fizaon ke.

main onh sokhe patton sang,
kharri thi tanha barish main !!
aur keh rahi thi boondon se ,
pooch rahi thi behtey paani se ,
kion ponch rahe ho yeh aanso?
jabh rota har pal dil mera hai !
kion nahi baha ley jatey tum,
ghum merey, yeh dukh merey !!

matt poncho inh ansoon ko..
mujh pe ikk ehsan karo !!
baha leyjao badnaseebi meri ,
baha ley jao meri yeh tarap.
aur kar dalo azad mujhe ,
bigri taqdeer ki zanjeeron se.
bakhsh do mujhe woh zindagi ,
mussarat jiska naam hey.

haan main barish main..
tanha khari roi hoon !!
phir aaj sabh se chup chup ke ,
apni qismatt per royi hoon !
haan ..
Aaj phir main roi hoon !!!

Post a Comment

0 Comments